Saturday, 2 January 2016

Heart Catching_Story ‬

@ Night 10pm Both are in Bed RooM

Wife: Aaj Bohot Late Aye Ap

Hus: Shona Aj Month Ka Last Day Hy Na... Chalo Dua Padh Ke Sojao Subha Namaz Ko Utna Hy

Wife: Shadi Ke Baad Maine Apko Kabhi Fajr Ki Namaz Miss Karte Hue Nahi Dekha

Hus: Bohot Dilchasp Baat Puchi apne, Acha To Suno Yeh Tilasmi Razz Nikah Se Phele
Ek Martaba Mai apni Car Se Official Tour Kar Hyd se Apne City Nagpur Laut Raha Tha,

Raat Ka Aakhri Pahar Tha,
Barish Ke Sath Sath Thand Bhi kahar Barsa Rahi Thi...'Car Ke Glass Lock Hone Ke Baad Bhi Mai Thand Mehsus Kar Raha Tha,
Dil Me Ek Hi Khwaish Thi,
Ke Jaldi Se Ghar Pahuch Jau Aur Garam Razai Me Ghus Kar Sojau

Sadak Bikul Viran thi,
Insan to Dur Janwar Bhi Nazar Nahi Aarha Tha,
Log Iss Waqt Sard Mausam Mei Garam Bistar Me Meethi Nendh Le Rahe The

Jaise Hi Maine Car Apni Gali Ki Taraf Turn Ki Toh Mujhe Car Ki Roshni Me Bheegti Barish Me Ek Saaya Nazar Aaya,
Usne Barish Se Bachne Ke Liye Plastic Ki Polythene Jaisa Kuch Dhaak Rakha Tha,
Aur Woh Gali Me Ruke hue Pani Se Bachte Hue Aahista Aahista Ja Raha Tha,

Mujhe Bohot Hairat Hui, Aise Mausam Me Jab Bilkul Raat ka Aakhri Waqt Hy
Kaun Apne Ghar Se Bahar Nikal Sakta Hy...!!
Mujhe Uss Shaks Par Bohot Taras Aya Ke Pata Nahi Kis Majburi Ne Isko Aisi Toofani Barish Mei Bahar Niklne Par Majbur Kiya Hoga

PhIr Maine Socha Ho sakta Hy Ghar Me Koi Bimar Hoga
Aur Yeh Usko Hospital Lekar Jane Ke Liye Sawari Dhundh Raha Hoga

Maine Car Ka Glass Neeche Karke Pucha:- "Kya Baat Hy Bhai sahab..!! Ap Kaha Jarahe Ho,
Sab Khairiyat Toh Hy Na,
Aisi Kaunsi Majburi Aagayi Jo Aap Iss Tofani Barish Aur Kad Kadaati Thand Me Itni Raat Ko Bahar Nikalna Pada..!!

Aaiye Mai Apko chord Deta Hoon ??

Usne Meri Taraf Dekh,
Muskurate Hue Kaha..!!
"Bhaijaan Bohot Bohot Shukriya,
Mai Yaha Kareeb Me Hi Ja Raha Hoon Isliye Paidal Hi Chala Jaunga..!
"Maine Usse Pucha Lekin Aap Itni Sardi Aur Tezz Barish Me Kaha Jarahe ho...??

Usne Kaha..."Masjid"

Maine Pucha:- Iss Waqt Kyun ? Aap Iss Waqt Masjid Me Jakar Kya Karoge..!!
Toh Usne Jawab Diya Ke,

" Mai Iss Masjid Ka Mua'azzin Hoon...!!
"Namaz-E-Fajr Ki Azaan Dene Jarha Hoon...!!

Yeh Kah Kar Woh Apne Raaste Par Chal Pada.

Aur Mujhe Ek Nayi Soch Me Daal Gaya...!!!
Kya Aaj Tak Kabhi Humne Yeh Soncha, Ke Sardi Ki Raat Me, Tofani Barish Me...

Kaun Hy Jo Apne Waqt Par ''Allah'' Ke Bulawe Ki Sadaa Buland Karrta Hy..??

Kaun Hy Woh, Jo Ye Awaaz Buland Karta Hy Ke...!!
"Aao Namaz Ki Taraf...!!"
"Aao Kamiyabi Ki Taraf...!!"
Aur Usse Iss Kamiyabi Ka Kitna Yakeen Hy Ki,
Usse Iss Farz Ke Adaa Karne Se Na Thar Tharati Sardi Rok Sakti Hy Aur Nahi Toofani Barish..!!

Aur Aaj Tak Humne Kabhi Yeh Soncha Hy, Ke Unki Tankhwa (Salary) Kitni Hogi ?

Shayad 4000 Se 6000 Rs..!!
Nahi
Shayad Ek Mazdur Bhi 500Rs Rozi Ke Hisaab Se 12-15,000/- Tak Kama Lete Hy...!!

Uss Roz Mujhe Yakin hua Ke,
 Aise Hi Allah Wale Log Hy Jinki Wajah Se ALLAHPAK Hum Par Meharbaan Hy...!!

Yeh Hamari Aish-O-Ishrat Ki Zindagi Sadqa Hy Unke Khoon Pasine Ka,
Inhe Log Ki Barkat Se Duniya Ka Nizam Chal Raha Hy..!!
Mera Dil Chaha Ke Niche Utar Kar Uss Mubarak Hasti Ko Gale Se Laga Lu...!!
Lekin Woh Ja Chuke The.. Aaj Se Phele Kabhi Nahi Thi Itni Hasi Duniya Unko Dekh Yakin Hua..!!

Aur Thodi Hi Derr Ke Baad Nagpur' Momin Pura Ki Fiza "Allahhu Akbar" Ki Sadaa Se GunJ Uthi Aur
Mere Kadam Ghar Jane Ki Bajaye Masjid Ki Taraf Uth Gaye...Shayad Woh Din Meri Hidayat Ka Din Tha Aur Allahpak Ne Uss Shaks Ko Meri Hidayat Ke Liye Munkhatab Kiya Tha...!
Aur Yahi Wajah Hy Jo Ke Aaj Mujhe Sardi Me Bhi Namaz Jana Neendh aur Garam Bistar se Zyada Acha Lagta Hy..!!!

Allah Rasool ka Paigam Hy Apka Dil Ijazat De to Groups friends Relatives ko Share kre Aur Sawab-E-Zariya Hassil kre..!!
Aurat: K hath k bagher mehndi lag bhi ache
Sakte Han "
" agar wo khana-from main masruf
.............. ............
" Aankhen kajal k bina bhi achi lag sakti
Han "Haya" in main.............. ............... ...........
" Baal shampo k bina bhi sakte ache.
Han "
" agar nyt by dopat ' is not
.............. .............. ......
"makeup k bina chehra bhi acha lag sakta".
" Agar by the-Mehrm Nazar if mehfuz
.............. ....
" qad unchi heel k bina bhi sakta lamba.
. "
" Agar main bulandi kirdar.............. ............ ...
(kisi does kia khub kha k agar is qom, at orat
AJ
Bhi Haya at orh the chadar to muslman flavours
Urooj by punch _ Sakta.
नामो नसब ज़मीन के नस्लों में बट गए ,

आदम के बेटे कितने कबीलों में बट गए।

आये है जबसे पेशे इमामत के मस'अले ,

शिजरे हमारे कितने मरहलो में बट गए ।

दे किस तरह से क़ौम को इल्ज़ामें गुमराही .

जब रहनुमा ही कौम के फिरको में बट गए
 
Fiza par to asar hawaon ka hota hai, mohabbat par to asar adaaon ka hota hai, koi aise hi kissi ka diwana nahi hota, kuchh kasoor to nigahon ka bhi hota hai
The new year haipī mubārakabāda how??
A Hadith of the statement: Hazrat Abu Saeed khudarī razi allāhō anahō has made statements of nabi karim sallallāhō alaihē friend said you're his one of the first um'matō bāliśta and one in gāja itēbā will even if it's for a goh surākha (Lizard's hole) to be entered, you will also have his itēbā rasūlallāha or asked what yahūda and naśārā from murad??
You who said fira???
Bukhari and Muslim, it is said to be " Al Lūlū Valamarajana (2/1708)
Note :- This Hadith from the prophet to know these was karim sallallāhō alaihē friend these pēśēnagō'i is doing to the Muslim and the yahūda naśārā will ittēbā! And today we all see eye the Muslims by bam̐da yahudiyō ittēbā and Christians are. Just invited a few day ago invited a Muslim "Mary Christmas" giving mubārakabāda came to watch and now new year on the occasion of yahudō nasārā can be seen! Our own sōn̄ca is over and we have everything to feel happiness in that of the Christians and yahudiyō faiśana, they don't even think they work for our din our mu'āśarā for not properly! What you saying new year haipī yahūda o nasārā ittēbā of not doing??
What we do with it?? And the most essential thing of these ham'mē many brothers who are there, not here know what date our, in Islam, the first month cone c, however.......
Ta'ālā Allah every Muslim to your deen bacāyē of common sense and the world from fitanō mahfouz.